pahchān kā asāsa vo jab haar aa.egā
chehre na.e ḳharīdne bāzār aa.egā
rañgoñ ke qāfile nahīñ ab mere ham-safar
hamrāh ek barg-e-azzā-dār aa.egā
nāmūs-e-sub.h-e-karbalā apnī ridā sambhāl
chal kar abhī to shaam kā darbār aa.egā
dīvār o dar meñ der se sargoshiyāñ sī haiñ
fāteh qabīloñ kā koī sardār aa.egā
maftūh bastiyoñ pe hai yalġhār kī ghaḌī
galiyoñ meñ ek lashkar-e-jarrār aa.egā
maiñ sañg-e-rah nahīñ jo uThā kar tū pheñk de
maiñ aisā marhala huuñ jo sau baar aa.egā
bachche javān ho ga.e nā-tāqatī ke saath
kab bāzuoñ meñ zor-e-alamdār aa.egā