Musavvir Sabzwari

rah-e-junun mein chala yun main umr-bhar tanha

Musavvir Sabzwari

Sambhal, Uttar pradesh, India

1932-2002
rah-e-junūñ meñ chalā yuuñ maiñ umr-bhar tanhā
ki jaise koī bagūlā kare safar tanhā
udāsī ruuh se guzrī hai is tarah jaise
ujaaḌ dasht meñ patjhaḌ kī dopahar tanhā
bhaTak rahī hai ḳhalāoñ meñ yuuñ nazar jaise
ho raat meñ kisī gumrāh kā guzar tanhā
guzar ga.e jaras-e-gul ke qāfile kab ke
takā kare yūñhī ab gard-e-rah-guzar tanhā
nasīm-e-sub.h mujhe bhī gale lagātī jā
maiñ vo diyā huuñ jalā hai jo rāt-bhar tanhā
nazar meñ thī bhare bāzār kī sī vīrānī
hujūm meñ bhī rahe ham nagar nagar tanhā
añdherī raat havā saḳht tez vahshat-e-dil
ham aisī shab meñ bhī phirte haiñ dar-ba-dar tanhā
musāfiroñ pe 'musavvir' na jaane kyā biitī
safīna aayā hai sāhil pe lauT kar tanhā
Top Urdushayar.com