badan ke dīvār-o-dar meñ ik shai sī mar ga.ī hai
ajiib ḳhushbū udāsiyoñ kī bikhar ga.ī hai
jagāo mat riste ḳhvāboñ kī rat-jagī thakan ko
ki dhuup dālān se kabhī kī utar ga.ī hai
fasīl-e-sar ko bachā.e rakhtā hai vo abhī tak
zamīñ kī pastī to reshe reshe meñ bhar ga.ī hai
na TuuT kar itnā ham ko chāho ki ro paḌeñ ham
dabī dabā.ī sī choT ik ik ubhar ga.ī hai
vo raat jis meñ zavāl-e-jāñ kā ḳhatar nahīñ thā
vo raat gahre samundaroñ meñ utar ga.ī hai