ḳhush-fahmiyoñ ke khel kī ab kyā sabīl hai
kāġhaz kī ek naav hai aur ḳhushk jhiil hai
sar par uThā.e dhuup ko sūraj kī tarah chal
manzil kahāñ ye silsila-e-sañg-mīl hai
lāshoñ ke Dher meñ abhī zinda to huuñ magar
mere bhī sar pe uḌtī huī ek chiil hai
saaya bhī band muTThī meñ rakhtā hai bhīñch kar
ūñchā sā ye daraḳht nihāyat baḳhīl hai
maiñ ghaav gahre pāniyoñ kā huuñ na mujh se mil
tū mujh meñ Duub jā.egī nannhī sī jhiil hai
darvāze khiḌkī mujh pe 'musavvir' haiñ sab hī band
sarmā kā ThiThurā chāñd hai aur shab tavīl hai