dashna-e-dard har ik saañs meñ Thahrā hogā
dil samundar hai to phir ghaav bhī gahrā hogā
terī qurbat meñ mirī saañs ghuTī jaatī hai
maiñ ne sochā thā tirā jism bhī sahrā hogā
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar jā.egī jis raat mire
rañg-e-pairāhan-e-shab aur bhī gahrā hogā
chal paḌe haiñ abhī jis par ye safīrān-e-bahār
kisī bajtī huī zanjīr kā lahrā hogā
ḳhushk pattoñ pe chale jaise koī shām-e-ḳhizāñ
ab tirī yaad kā yuuñ jism pe pahrā hogā
kyā ḳhabar thī ye girāñ-goshī kā baa.is hogī
shahr kā shahr sadā par mirī bahrā hogā
hijr kī aag meñ baḌhtī hai 'musavvir' tab-o-tāb
zahr-e-tanhā.ī se rañg aur sunahrā hogā