hamārī tahrīreñ vārdāteñ bahut zamāne ke baad hoñgī
ravāñ ye be-his udaas nahreñ hamāre jaane ke baad hoñgī
khiñchī huī haiñ ufuq se dil tak alāmat-e-vasl kī lakīreñ
magar ye zinda ka.ī qabīloñ kā ḳhuuñ bahāne ke baad hoñgī
talab ke mausam gañvā.e maiñ ne kamāl-e-ġham se dhuāñ dhuāñ tum
shikāyateñ ye kaḌe mahāzoñ se lauT aane ke baad hoñgī
guzarte pattoñ kī chaap hogī tumhāre sehan-e-anā ke andar
fasurda yādoñ kī bārisheñ bhī mujhe bhulāne ke baad hoñgī
laraztī palkoñ kī chilmanoñ par nahīñ sitāra bhī pichhlī shab kā
kahā thā tum ne ki chāñd rāteñ tumhāre aane ke baad hoñgī
zamīn pairoñ se niklegī jab khuleñge sab bhed sāhiloñ ke
rihā.ishoñ kī sharā.it ab kashtiyāñ jalāne ke baad hoñgī