yuuñ chup hai shahr jaise ki kuchh bhī huā na ho
shāyad ab is ke ba.ad koī hādisa na ho
kāñpā hai barg barg sā jo be-sabab abhī
ye jism āñdhiyoñ kā koī rāsta na ho
maiñ thak chukā huuñ dasht-e-masāfat kī dhuup meñ
koī sarāb raah marī dekhtā na ho
tuġhyān-e-bevafā.ī meñ Duubā rahūñ maiñ kaash
mere nasīb meñ tujhe ab dekhnā na ho
ubhrī hai ḳhushk pattoñ meñ ik chīḳh duur tak
be-rahm koī paañv unheñ rauñdtā na ho
sham-e-taraf jalāne se pahle hī dekh lo
ye dasht-e-nā-murādī-e-dil kā diyā na ho
jo shaḳhs kal milā thā 'musavvir' ba-tarz-e-ḳhās
us kī hī shakl kā vo koī dūsrā na ho