TūTte jism ke mahtāb bikhar jā mujh meñ
maiñ chaḌhī raat kā dariyā huuñ utar jā mujh meñ
maiñ tirī yaad ke sāvan ko kahāñ barsā.ūñ
ab kī rut meñ koī bādal bhī na garjā mujh meñ
jaane meñ kaun se patjhaḌ meñ huā thā barbād
girte pattoñ kī ik āvāz hai har jā mujh meñ
koī mahkār hai phūloñ kī na rañgoñ kī lakīr
ek sahrā huuñ kahīñ se bhī guzar jā mujh meñ
ḳhatm hone de mire saath hī apnā bhī vajūd
tū bhī ik naqsh ḳharābe kā hai mar jā mujh meñ