Musavvir Sabzwari

jism apna hai koi aur na saya apna

Musavvir Sabzwari

Sambhal, Uttar pradesh, India

1932-2002
jism apnā hai koī aur na saaya apnā
jaane is ziist se hai kaun sā rishta apnā
tū ne kis moḌ pe chhoḌā thā mujhe umr-e-ravāñ
tak rahā huuñ ka.ī sadiyoñ se maiñ rasta apnā
sañg-andāz huā shahr-e-sitam-pesha tamām
dil liye baiThā hai shīshe kā gharauñdā apnā
ham rahe bhī to badalte hue mausam kī tarah
terī āñkhoñ meñ koī aks na Thahrā apnā
jog le kar tirī ḳhātir liye galiyoñ galiyoñ
ik muġhannī kī tarah dard bhī bechā apnā
ek be-nām ta.alluq bhī ab us ghar se nahīñ
muddatoñ jis meñ rahā thā kabhī charchā apnā
ik tirā ġham thā ba-har-rañg jo shādāb rahā
is shajar ne na girāyā koī pattā apnā
dil kī dīvāroñ pe ye rañg-e-shab-e-tār to dekh
hādisa chhoḌ gayā hai koī saaya apnā
ai ġham-e-ḳhāk-shuda jaag ba-rañg-e-ash.ār
terī miTTī meñ milātā huuñ maiñ sonā apnā
kitne asnām tarāshe haiñ tirī sūrat ke
jhāñk kar dekhe zarā mujh meñ sarāpā apnā
Top Urdushayar.com