zarā sī der jo ḳhauf-e-davām ḳhatm huā
ye mat samajh ki ye hū kā maqām ḳhatm huā
kahāñ gayā jaras-e-karbalā bulā ke mujhe
ki rāste meñ mirā ghar tamām ḳhatm huā
na terī pyaas ne dariyāoñ se hī bai.at kī
na pāniyoñ pe likhā terā naam ḳhatm huā
daraḳht saare sameTe hue haiñ shāḳh-e-ḳhulūs
chalo ki pahle safar kā qayām ḳhatm huā
chunegā soḳhta ḳhemoñ kī raakh aur koī
lagā ke aag havā kā to kaam ḳhatm huā
sar-e-ufuq koī taarā na be-navā koī chīḳh
ye kin tabāhiyoñ pe rañj-shām ḳhatm huā