usī ne hijrateñ kuchh aur bhī bitā.ī thiiñ
vo shaḳhs jis ke liye kashtiyāñ jalā.ī thiiñ
milā thā kyā tumhīñ bolo aziim phankāro
mire qalam ne to gum-nāmiyāñ kamā.ī thiiñ
abhī to haath meñ hī sañg-pāre the lekin
sukūt-e-āb pe kitnī ḳharāsheñ aa.ī thiiñ
uḌā ke barg-e-ḳhizāñ-dīda kī tarah ik roz
usī ne pūchhā thā phir āñdhiyāñ kab aa.ī thiiñ
kisī ko qissa-e-pākī-e-chashm yaad nahīñ
ye āñhkeñ kaun sī barsāt meñ nahā.ī thiiñ
ta.alluqāt meñ sanjīda moḌ jab aa.e
to ehtiyāteñ bahut us kī yaad aa.ī thiiñ