ka.ī zamānoñ ke dariyā-e-nīl chhoḌ gayā
vo vaqt thā jo mujhe lākhoñ miil chhoḌ gayā
na bhīge hoñT bhī kam-zarf dasht o dariyā ke
mirā husain lahū kī sabīl chhoḌ gayā
sab ek se the tulū-o-ġhurūb-e-jāñ us ke
judā.ī meñ bhī vo naqsh-e-jamīl chhoḌ gayā
the us ke saath zavāl-e-safar ke sab manzar
vo dukhte dil ke bahut sañg-e-mīl chhoḌ gayā
maiñ murda pāniyoñ meñ chāñd sā ravāñ dekhūñ
vo varse meñ mujhe ḳhvāhish kī jhiil chhoḌ gayā
maiñ zinda sach thā samundar kī guuñj kī sūrat
gavāhī le nahīñ paayā dalīl chhoḌ gayā