vidā.a saath tumhāre hī ho gayā sūraj
phir us ke ba.ad na ham ko kahīñ milā sūraj
kahīñ ubhar na sakā roz-o-shab kī mahfil meñ
maiñ din kā chāñd rahā aur raat kā sūraj
uThe jo ham se girāñ-gosh to huā ma.alūm
hameñ pukār ke kab kā chalā gayā sūraj
milan kī shaam sahī par milan nasīb kahāñ
to chaḌhte chāñd kī mayyat meñ Dūbtā sūraj
us ek shaam ko jis ke liye the chashm-ba-rāh
ḳhilāf-e-vaqt baḌī der se Dhalā sūraj
'musavvir' aao usī sho.ala-ruḳh kī samt chaleñ
sunā hai Dhaltā nahīñ us ke baam kā sūraj