siyāh dard kā ye sā.ebān gir jaa.e
hamīñ pe TuuT ke kaash āsmān gir jaa.e
ḳharāba-e-dil-e-tanhā na dekhā jā.egā
hamīñ makīñ haiñ to ham par makān gir jaa.e
maiñ is laraztī sī dīvār-e-dil kā nauha huuñ
jo kahte kahte koī dāstān gir jaa.e
sambhal sambhal ke uThā bār-e-bekasī kā pahāḌ
tire jigar pe na sar kī chaTān gir jaa.e
na aise lauñg ghumā naak meñ hasīñ muTiyār
jo hal chalāte haiñ koī kisān gir jaa.e
duā-e-nīm-shabī aur yaqīn-e-be-asrī
ki jaise tiir se pahle kamān gir jaa.e
'musavvir' aisī huī tañg ye zamīñ ham par
baḌhīñ jidhar bhī vahīñ āsmān gir jaa.e