tanhā shajar ke dard kā ehsās de gayā
ik shaḳhs mujh ko jism kā ban-bās de gayā
lab-hā-e-nīlgūñ pe haiñ us kī amānateñ
jaate laboñ kā jauhar-e-almās de gayā
jis meñ kabhī bhī aks kī kircheñ nahīñ rahīñ
TuuTā huā vo shīsha-e-ehsās de gayā
ab tak hai mere hāthoñ meñ ḳhushbū rachī huī
maslūb ho ke phuul bahut baas de gayā
ik rūd-e-bevafā.ī meñ mujh ko bahā ke aaj
sātoñ-samundaroñ kī koī pyaas de gayā
ik nā-murād ufuq pe hai kohre kā chāñd sā
kaisī 'musavvir' aas vo be-ās de gayā