fazā meñ zulf ke jaadū agar bikhar jaate
havā ke saath bahut log dar-ba-dar jaate
bhalā huā ki huī jins-e-ġham kī arzānī
ham apne daaġh dikhāne nagar nagar jaate
na jaltā koī charāġh-e-sadā to sab sar-e-shām
lipaT ke apne gharoñ ke sutūñ se mar jaate
ik aisā lamha-e-shām-e-ḳhizāñ bhī guzrā hai
mujhe jo dekhte is lamha tum to Dar jaate
hameñ na rok ravāñ haiñ misāl-e-pāra-e-abr
hamāre bas meñ jo hotā to ham Thahar jaate
'musavvir' aa ke na Thahrā koī bhī ḳhvāboñ meñ
udaas rātoñ kī āñkhoñ meñ rañg bhar jaate