mujhe bhī apnā sharīk-e-safar shumār karo
sahar ke bujhte diyo merā intizār karo
hamārā zauq-e-numū kyā shikasta shīshe haiñ
ham ā.inoñ ko atā parda-e-ġhubār karo
hamāre ashkoñ kī me.arāj apne dāman tak
tum apnī pākī-e-dāmāñ kā e'tibār karo
chhupā.e jaao yūñhī daaġh daaġh sīnoñ ko
ḳhayāl-e-bekasī-e-ismat-e-bahār karo
na do duā-e-ḳhirad mujh ko ḳhair-andesho
jo kar sako to mirī vahshatoñ se pyaar karo
phir aaj ishq 'musavvir' huā hai ḳhāk-basar
phir ehtimām-e-urūj-e-salīb-o-dār karo