ishq kī aañch meñ sundartā kā bhī dhan jaltā hai
parvāne kī chitā par sham.a kā joban jaltā hai
agnī-bān haiñ terī nazreñ ā.īna mat dekh
tere shīsh-mahal kā ik ik darpan jaltā hai
rañg-rūp kī lau bhī nazar us bhed ko kyā jaane
ruup aayā hai gulshan par yā gulshan jaltā hai
jab jab sulge koī mohan yaad to barsoñ tak
miTTī kā Tiila āñkhoñ kā suunā ban jaltā hai
dil kī lagī kis or bujhe ik jalte dil ke saath
saarā pūrab pachchhim utar dakhkhan jaltā hai
mere soz-o-sāz ke rasiyā tujh ko kyā ma.alūm
saat suroñ kī aag meñ merā tan-man jaltā hai
añg añg meñ us ke 'musavvir' narm laveñ sī haiñ
jab vo haath meñ kañgan pahne kañgan jaltā hai