lagā hai aisā koī kāsa-e-savālī hoñ
ye aañkh jaise mirī raushnī se ḳhālī hoñ
ye kyā zarūrī hai ham saarī umr saath raheñ
nahīñ ye baat ki qadreñ ye lā-zavālī hoñ
na jaane kaun pas-e-chashm mar chukā hogā
vo āñkheñ jaise kisī maqbare kī jaalī hoñ
sadā se haiñ kisī nādīda guuñj kī taabe
ye bheḌeñ sabz pahāḌoñ ne jaise pā lī hoñ
hai ghāTī ghāTī koī zahr-ḳhand chup ho jaao
na jaane kaun se patthar yahāñ jalālī hoñ