jañgal mudāfa.at ke halkān ho ga.e haiñ
sab raste āñdhiyoñ ke āsān ho ga.e haiñ
rishtoñ kā bojh Dhonā dil dil meñ kuḌhte rahnā
ham ek dūsre par ehsān ho ga.e haiñ
āñhkeñ haiñ sulgī sulgī chehre haiñ dahke dahke
kin jaltī bastiyoñ kī pahchān ho ga.e haiñ
logoñ kā aanā jaanā ma.amūl thā par ab ke
ghar pahle se ziyāda sunsān ho ga.e haiñ
bad-qismatī se ham haiñ in kashtiyoñ ke vāris
jin ke havā se ahd-o-paimān ho ga.e haiñ
milnā bhī pur-takalluf duurī kī dilkashī bhī
ik duuje ke liye ham mehmān ho ga.e haiñ