yaañ mudda.ī apnā kise ai yaar na dekhā
hai koī jise terā talabgār na dekhā
sotoñ ko jagāyā mire naale ne adam ke
par tāl-e-ḳhvābīda ko bedār na dekhā
kal bazm meñ sab par nigah-e-lutf-o-karam thī
ik merī taraf tū ne sitamgār na dekhā
juz chashm-e-butāñ mai-kada-e-dahr meñ 'joshish'
ham ne to kisī mast ko hoshyār na dekhā