Tabish Siddiqui

ek umr hui aur main apne se juda hun

Tabish Siddiqui

ik umr huī aur maiñ apne se judā huuñ
ḳhushbū kī tarah ḳhud ko sadā DhūñD rahā huuñ
har lamha tirī yaad ke saa.e meñ kaTā hai
thak thak ke har ik gaam pe jab baiTh gayā huuñ
tū laakh judā mujh se rahe paas hai mere
tū gumbad-e-hastī hai to maiñ is kī sadā huuñ
har saañs tirī bād-e-sahar kā koī jhoñkā
maiñ phuul nahīñ aur tire raste meñ khilā huuñ
tasvīr kī har nok palak hai mire ḳhuuñ se
ik rañg huuñ maiñ aur tire ḳhvāboñ meñ ghulā huuñ
har saañs chalī aatī hai jaañ haath meñ le kar
maiñ sochtā huuñ maiñ bhī koī koh-e-nidā huuñ
zinda huuñ ki marnā mirī qismat meñ likhā hai
har roz gunāhoñ kī sazā kaaT rahā huuñ
ik ālam-e-tanhā.ī hai kuchh dekhā huā sā
shāyad ki maiñ apne hī bayābāñ meñ khaḌā huuñ
ye haal mirā merī mohabbat kā sila hai
jo apne hī dāman se bujhā ho vo diyā huuñ
tū chāñd hai maiñ chāñd kā anjām-e-safar huuñ
āñkhoñ meñ tirī duur kahīñ Duub gayā huuñ
rusvā huuñ magar ḳhud se chhupā phirtā huuñ 'tābish'
apne se nihāñ saare zamāne pe khulā huuñ
Top Urdushayar.com