har adā tund aur nabāt us kī
dil meñ khubtī hai baat baat us kī
jaan dī jis ne tere qadmoñ meñ
ho ga.ī maut bhī hayāt us kī
dil-e-marhūm kā to zikr hī kyā
tum the le-de ke kā.enāt us kī
mar gayā dil vafā ke dhoke meñ
na sunī tum ne vārdāt us kī
na gayā shaiḳh kā junūn-e-bahisht
na huī mar ke bhī najāt us kī
zarra jo terī bārgāh meñ hai
sub.h us kī din us kā raat us kī
tum bhī 'tābish' ko jānte hoge
husn maz.hab hai ishq zaat us kī