kis tarah aa.e tirī bazm-e-tarab meñ aa.ina
hai nazar-band āj-kal shahr-e-halab meñ aa.ina
hind se us tak jo le jaa.e koī tasvīr-e-yār
sharm se lailā na dekhe phir arab meñ aa.ina
bazm meñ bulvā.e jaldī ki ik muddat se hai
ishtiyāq-e-zulf-o-ḳhat-o-chashm-o-lab meñ aa.ina
naukrī bhī kī to hairānī faqat ham ko milī
aarsī tanḳhvāh meñ paa.ī talab meñ aa.ina
shaiḳh-sāhab tā-kujā ārā.ish-e-resh-e-saped
dekhiye shāna balā meñ hai ġhazab meñ aa.ina
sāqiyā ye aa.ina hai terā mai-ḳhāna nahīñ
hai har ik sāġhar kaf-e-bintul-anab meñ aa.ina
dekhne jaatā hai us ko tāb-e-nazzāra nahīñ
sāda-lauh us se huā mash.hūr sab meñ aa.ina