baaġh meñ phuul khile mausam-e-saudā aayā
garm bāzār huā vaqt-e-tamāsha aayā
sārbāñ nāqa-e-lailā ko na dauḌā itnā
paañv majnūñ ke thake haath tire kyā aayā
ek naale ne mire kaam kiye baaġh meñ vo
gul ko tap aa.ī to shabnam ko pasīna aayā
ro ke maiñ ne jo kahā aap kī hai chaah mujhe
hañs ke bole ki baḌā chāhne vaalā aayā
jhaaḌ dī gard jo dāman kī kabhī ham ne 'asīr'
hañs ke farmāyā ki tum ko bhī salīqa aayā