Muzaffar Ali Aseer

aah kab lab par nahin hai dagh kab dil mein nahin

Muzaffar Ali Aseer

Amethi, Uttar pradesh, India

1800-1882
aah kab lab par nahīñ hai daaġh kab dil meñ nahīñ
kaun sī shab hai ki garmī apnī mahfil meñ nahīñ
bazm kī kasrat se andesha mire dil meñ nahīñ
dil meñ us kī hai jagah mere jo mahfil meñ nahīñ
panja-e-mizhgān-e-tar ne ye uḌā.īñ dhajjiyāñ
taar baaqī ek bhī dāmān-e-sāhil meñ nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq kā hamāre daaġh miTne kā nahīñ
teġh meñ hogā agar dāmān-e-qātil meñ nahīñ
parda-dār chehra-e-yūsuf nahīñ hai har naqāb
husn-e-lailā jalva-gar har ek mahfil meñ nahīñ
najd kā sahrā ajab sahrā-e-vahshat-ḳhez hai
qais kyā lailā ko bhī ārām manzil meñ nahīñ
jis taraf jī chāhegā merā nikal jā.ūñgā maiñ
saikaḌoñ darvāze haiñ halqe salāsil meñ nahīñ
had se bāhar paañv jo rakhtā hai hotā hai ḳharāb
ghar meñ jo rāhat musāfir ko hai manzil meñ nahīñ
Dūbte jaate haiñ kyūñkar log hairat hai mujhe
qadd-e-ādam aab bahr-e-teġh-e-qātil meñ nahīñ
ho gayā dahshat se aisā bismiloñ kā ḳhuun ḳhushk
ek bhī dhabbā lahū kā teġh-e-qātil meñ nahīñ
Top Urdushayar.com