duur sahrā meñ jahāñ dhuup shajar rakhtī hai
aañkh kyā shai hai kahāñ jā ke nazar rakhtī hai
aur kuchh roz abhī suur na phūñkā jaa.e
us ke darbār meñ duniyā abhī sar rakhtī hai
log manzil pe bahut ḳhush haiñ magar manzil bhī
lamha lamha pas-e-imkān-e-safar rakhtī hai
aao us shaḳhs kī rūdād suneñ ġhaur kareñ
surḳh-rūī bhī jise ḳhāk-basar rakhtī hai
ye zehānat jo virāsat kī atā hai 'shāhid'
koī dīvār uThātī hai to dar rakhtī hai