log hairān haiñ ham kyuuñ ye kiyā karte haiñ
zaḳhm ko bhuul ke marham kā gilā karte haiñ
kabhī ḳhushbū kabhī jugnū kabhī sabza kabhī chāñd
ek tere liye kis kis ko ḳhafā karte haiñ
ham to Duube bhī nikal aa.e bhī phir Duube bhī
log dariyā ko kināre se takā karte haiñ
haiñ to mere hī qabīle ke ye sab log magar
merī hī raah ko dushvār kiyā karte haiñ
ham charāġh aise ki ummīd hī lau hai jin kī
roz bujhte haiñ magar roz jalā karte haiñ
vo hamārā dar-o-dīvār se mil kar ronā
chand ham-sā.e to ab tak bhī hañsā karte haiñ