koī lahja koī jumla koī chehrā nikal aayā
purāne taaq ke sāmān se kyā kyā nikal aayā
ba-zāhir ajnabī bastī se jab kuchh der bāteñ kiiñ
yahāñ kī ek ik shai se mirā rishta nikal aayā
mire aañsū hue the jazb jis miTTī meñ ab us par
kahīñ paudā kahīñ sabza kahīñ chashma nikal aayā
ḳhudā ne ek hī miTTī se gūñdhā sab ko ik jaisā
magar ham meñ koī adnā koī a.alā nikal aayā
sabhī se fāsla rakhne kī aadat thī so ab bhī hai
parāyā kaun thā jo shahr meñ apnā nikal aayā
na.e māhaul ne pahchān hī mashkūk kar Daalī
jo be-chehra the kal tak un ke bhī chehrā nikal aayā