ek ik mauj ko sone kī qabā detī hai
shaam sūraj ko samundar meñ chhupā detī hai
ek chehrā mujhe rozāna sukūñ detā hai
ek tasvīr mujhe roz rulā detī hai
aib shohrat meñ nahīñ is kā nasha qātil hai
ye havā kitne charāġhoñ ko bujhā detī hai
log aate haiñ Thaharte haiñ guzar jaate haiñ
ye zamīñ ḳhud hī guzargāh banā detī hai
kisī chehre meñ nazar aatā hai koī chehrā
koī sūrat kisī sūrat kā patā detī hai
niil meñ rāsta banñā to hai dushvār magar
merī ġhairat mire hāthoñ meñ asā detī hai