Shahid Latif

sah-pahar hi se koi shakl banati hai ye sham

Shahid Latif

sah-pahar hī se koī shakl banātī hai ye shaam
ḳhud jo rotī hai mujhe bhī to rulātī hai ye shaam
jo bhī dīvār uThātī hai girātī hai ye shaam
shaam ke vaqt bahut dhuul uḌātī hai ye shaam
Thahrī Thahrī sī thakī-hārī musībat meñ ghirī
aisā lagtā hai kahīñ duur se aatī hai ye shaam
ek be-nām sī uljhan kī tarah phirtī hai
shahr se roz mazāfāt ko jaatī hai ye shaam
ghoñsle haiñ na gharauñde koī kuTiyā na charāġh
dekhiye aaj kahāñ ḳhair manātī hai ye shaam
dūsroñ hī ke havāle se milā kartī hai
aur dukhḌā koī rozāna sunātī hai ye shaam
is kī palkoñ pe sitāroñ kā safar raushan hai
ghup añdhere meñ mujhe raah dikhātī hai ye shaam
Top Urdushayar.com