aaj bhī jis kī hai ummīd vo kal aa.e hue
in daraḳhtoñ pe zamāna huā phal aa.e hue
koī chehrā hai jo lagtā na ho murjhāyā huā
koī peshānī hai jis par na huuñ bal aa.e hue
ik nazar dekh le shāyad tujhe yaad aa jaa.eñ
ham vahī haiñ tirī mahfil se nikal aa.e hue
jaise har chiiz nigāhoñ meñ Thaharnā chāhe
dekh lenā kabhī mausam pe ġhazal aa.e hue
kyā gulāboñ kī vo albelī ruteñ ruuTh ga.iiñ
in dinoñ hadd-e-nazar tak haiñ kañval aa.e hue
lafz mafhūm se begāna haiñ muddat guzrī
apne hisse meñ ġhazal jaisī ġhazal aa.e hue
haa.e vo log jo har vaqt nazar aate the
ḳhaak uḌaa.e hue chehre pe bhī mal aa.e hue