dard-e-dil bhī kabhī lahū hogā
koī armāñ to sruḳh-rū hogā
aarzū koī bar na aa.egī
yahī anjām-e-ārzū hogā
dekh kar mere dil kī barbādī
kaun shaidā-e-rañg-o-bū hogā
ā.īne meñ hameñ vo dekheñge
ā.īna un ke rū-ba-rū hogā
ham na hoñge to ai ġham-e-jānāñ
kis ko yārā-e-ārzū hogā
kuchh to farmā.eñ aap tum yā tū
kuchh to andāz-e-guftugū hogā
un ke andāza-e-karam ke liye
har nafas vaqf-e-ārzū hogā
tāb-e-nazzāra-e-jamāl kise
ek maiñ hūñgā ek tū hogā
mere aate hī bazm saaqī meñ
sab ke lab par subū subū hogā
harf-e-matlab zabāñ pe kyuuñ aa.e
ye to iz.hār-e-ārzū hogā
manziloñ se guzar ke bhī 'sāhir'
dil kā maqsūd justujū hogā