Sahir Hoshiyarpuri

sham ko subh andhere ko ujala likkhen

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
shaam ko sub.h añdhere ko ujālā likkheñ
ālam-e-shauq meñ kyā jāniye ham kyā likkheñ
mudda.ā likkheñ talab likkheñ tamannā likkheñ
itnā kuchh likh ke bhī ham ḳhat ko adhūrā likkheñ
koī ḳhushbū na koī rañg na koī āvāz
dil ko ham sañg na samjheñ to ise kyā likkheñ
ik isī soch meñ gum ho ga.e kitne mausam
in se ham haal zabānī hī kaheñ yā likkheñ
ham ko isrār ki zulmat ko ziyā kyuuñ māneñ
un kā ye hukm ki har shab ko saverā likkheñ
maslahat ham ko bhī marġhūb hai lekin kab tak
ḳhaar ko phuul kaheñ dasht ko dariyā likkheñ
husn-e-ma.asūm ko mausūm kareñ qātil se
aur qātil ko zamāne kā masīhā likkheñ
dāstān-e-dil-e-ḳhūñ-gashta kahāñ tak 'sāhir'
ab ġham-e-zāt se haT kar ġham-e-duniyā likkheñ
Top Urdushayar.com