ġham-e-dil ruḳh se ayaañ ho ye zarūrī to nahīñ
ishq rusvā-e-jahāñ ho ye zarūrī to nahīñ
lab pe har-vaqt fuġhāñ ho ye zarūrī to nahīñ
ham-navā dil kī zabāñ ho ye zarūrī to nahīñ
jān-e-tanhā pe guzar jaa.eñ hazāroñ sadme
aañkh se ashk ravāñ ho ye zarūrī to nahīñ
mil hī jā.egī kahīñ DhūñDhne vaale ko bahār
har gulistāñ meñ ḳhizāñ ho ye zarūrī to nahīñ
ham jise apnī zabāñ se bhī na kahne paa.eñ
vo mohabbat kā bayāñ ho ye zarūrī to nahīñ
un kī āñkhoñ meñ chhalak aa.e haiñ aañsū jis se
vo mire dil kā dhuāñ ho ye zarūrī to nahīñ
zabt bhī hotā hai andāz-e-junūñ meñ shāmil
aarzū shola-ba-jāñ ho ye zarūrī to nahīñ
ārzūoñ kī bhī ik bhiiḌ hai shahr-e-dil meñ
hasratoñ kā hī nishāñ ho ye zarūrī to nahīñ
soch kar vādī-e-ulfat meñ qadam rakh 'sāhir'
sirf dil hī kā ziyāñ ho ye zarūrī to nahīñ