vo jis ko ham ne apnāyā bahut hai
usī ne dil ko taḌpāyā bahut hai
hamāre qatl kī sāzish ke darpai
hamārā nek ham-sāya bahut hai
dil-e-dard-āshnā shauq-e-shahādat
mohabbat meñ ye sarmāya bahut hai
ajab shai hai chaman-zār-e-tamannā
samar koī nahīñ saaya bahut hai
ḳhatā us kī nahīñ dil ko hamīñ ne
tamannāoñ meñ uljhāyā bahut hai
ḳhudā mahfūz rakhe āsmāñ ko
zamīñ ko is ne jhulsāyā bahut hai
tirī yaad aa.ī hai to aaj ham ko
dil-e-gum-gashta yaad aayā bahut hai
ba-nām-e-hazrat-e-nāseh bhī ik jaam
ki us ne va.az farmāyā bahut hai
na kyuuñ Thukrā.eñ ham duniyā ko 'sāhir'
hameñ bhī us ne Thukrāyā bahut hai