Sahir Hoshiyarpuri

tairega faza mein jo samundar na milega

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
tairegā fazā meñ jo samundar na milegā
dil sā bhī zamāne meñ shanāvar na milegā
sāhil se to andāza-e-tūfāñ bhī hai dushvār
tah meñ jo na utroge to gauhar na milegā
vābasta hai is bazm se hī ghar kā tasavvur
uTh jā.egī jab bazm to phir ghar na milegā
parvāz ḳhalāoñ meñ mubārak tumheñ lekin
ik baar bikhar kar to ye paikar na milegā
sar phoḌne vaale raheñ vallāh salāmat
kuchh din meñ ibādat ko bhī patthar na milegā
har zarra hai firdaus-e-nazar had-e-nazar tak
bedār na honā ki ye manzar na milegā
sairāb jo haiñ un kī havas aur baḌhī hai
is bhiiḌ meñ pyāsoñ ko samundar na milegā
tum lutf-e-mulāqāt ko ḳhvāboñ meñ basā lo
ye lamha masarrat kā bichhaḌ kar na milegā
har sher meñ iz.hār se ehsās ham-āġhosh
is daur meñ 'sāhir' sā suḳhan-var na milegā
Top Urdushayar.com