Sahir Hoshiyarpuri

adu-e-bad-guman ki dastan kuchh aur kahi hai

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
adū-e-bad-gumāñ kī dāstāñ kuchh aur kahtī hai
magar terī nigāh-e-ḳhush-bayāñ kuchh aur kahtī hai
ḳhizāñ ke dam se apnī ḳhush-dilī kā hai bharam varna
bahār aate hī yād-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
suno dil se to phir har naġhma-e-ishrat ke parde meñ
alam kī dāstān-e-ḳhūñ-chakāñ kuchh aur kahtī hai
nazar un kī zabāñ un kī ta.ajjub hai ki is par bhī
nazar kuchh aur kahtī hai zabāñ kuchh aur kahtī hai
hazār andāz se ahl-e-havas ab daam phailā.eñ
navā-e-tā.ir-e-arsh āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
tire lutf-o-karam kā mo'tarif hai ik jahāñ lekin
kisī majbūr-e-ġham kī dāstāñ kuchh aur kahtī hai
ḳhushā terī nazar kā imtiyāz-e-jalvat-o-ḳhalvat
vahāñ kuchh aur kahtī thī yahāñ kuchh aur kahtī hai
gulistāñ meñ bahār-e-gul-fashāñ aane se kyā hāsil
ki mustaqbil kī tasvīr-e-ḳhizāñ kuchh aur kahtī hai
vo mere haal par 'sāhir' kabhī jo muskurāte haiñ
to dil se apnī sa.i-e-rā.egāñ kuchh aur kahtī hai
Top Urdushayar.com