misl-e-raqs-e-sharar nahīñ aatī
zindagī lauT kar nahīñ aatī
dil-dahī kā to koī sāmāñ kar
dilrubā.ī agar nahīñ aatī
hijr meñ maut DhūñDhne vaale
aisī shab kī sahar nahīñ aatī
dil ko de kar fareb-e-shauq-o-talab
ab tamannā nazar nahīñ aatī
ye tabī.at hai hazrat-e-nāseh
ye samajh soch kar nahīñ aatī
ālam-e-be-dilī se bhī yārab
dil kī koī ḳhabar nahīñ aatī
dard dil meñ agar na ho ham-dam
shā.irī umr-bhar nahīñ aatī
aadmī Thokareñ na khaa.e agar
zindagī raah par nahīñ aatī
raas aatī nahīñ agar tadbīr
maut kyuuñ chāragar nahīñ aatī
apnī hālat agar maiñ ḳhud na kahūñ
kyā unheñ bhī nazar nahīñ aatī
tum ko aate haiñ sab jafā-o-jaur
ik vafā hī magar nahīñ aatī
jis nazar se vo dekhte the kabhī
vo nazar ab nazar nahīñ aatī
vaa.e us zindagī kī mahrūmī
maut bhī umr-bhar nahīñ aatī
aah vo ārzū-e-dil 'sāhir'
tā-qayāmat jo bar nahīñ aatī