Sahir Hoshiyarpuri

har ek phul ke daman mein Khaar kaisa hai

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
har ek phuul ke dāman meñ ḳhaar kaisā hai
batā.e kaun ki rañg-e-bahār kaisā hai
vo sāmne the to dil ko sukūñ na thā hāsil
chale ga.e haiñ to ab be-qarār kaisā hai
yaqīn thā ki na aa.egā mujh se milne koī
to phir ye dil ko mire intizār kaisā hai
agar kisī ne tumhārā bhī dil nahīñ toḌā
to āñsuoñ kā ravāñ ābshār kaisā hai
mujhe ḳhabar hai ki hai be-vafā bhī zālim bhī
magar vafā kā tirī e'tibār kaisā hai
tire makān kī dīvār par jo hai chaspāñ
talāsh kis kī hai ye ishtihār kaisā hai
ye kis ke ḳhuun se hai dāman-e-chaman rañgīñ
ye surḳh phuul sar-e-shāḳh-dār kaisā hai
ab un kī barq-e-nazar ko dikhāo ā.īna
vo pūchhte haiñ dil-e-be-qarār kaisā hai
mirī ḳhabar to kisī ko nahīñ magar 'aḳhtar'
zamāna apne liye hoshiyār kaisā hai
Top Urdushayar.com