Sahir Hoshiyarpuri

wo mere dil ke talabgar nazar aate hain

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
vo mire dil ke talabgār nazar aate haiñ
shādmānī ke ab āsār nazar aate haiñ
jo mire naam se bezār nazar aate the
ab vahī dil ke talabgār nazar aate haiñ
ab mohabbat ke parastār kahāñ ai saaqī
sab mohabbat ke ḳharīdār nazar aate haiñ
ab ke gulshan meñ ajab rañg se aa.ī hai bahār
shāḳh-e-gul par bhī hameñ ḳhaar nazar aate haiñ
haa.e ummīd kā pāband-e-karam ho jaanā
aaj ham ziist se bezār nazar aate haiñ
hashr meñ kis se karūñ kis kī shikāyat ai dil
sab usī but ke taraf-dār nazar aate haiñ
ḳhud manāne ko jinheñ rahmat-e-haq aa.ī hai
ūñche darje ke gunāhgār nazar aate haiñ
ye hai mai-ḳhāna to phir aaj se merī tauba
sab yahāñ zāhid-o-dīñ-dār nazar aate haiñ
us kī begāna-ravī kā ye fusūñ to dekho
aaj ahbāb bhī aġhyār nazar aate haiñ
phir vo mā.il-ba-karam hone lage haiñ 'sāhir'
phir ġham-o-rañj ke āsār nazar aate haiñ
Top Urdushayar.com