Sahir Hoshiyarpuri

ranj-o-alam se mohabbat hai

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
ranj-o-ālām se mohabbat hai
sa.ī-e-nākām se mohabbat hai
zindagī-bhar na ho sahar jis kī
ham ko us shaam se mohabbat hai
kyā ḳhatar gardish-e-falak se hameñ
gardish-e-jām se mohabbat hai
baada sahbā sharāb se dārad
aise har naam se mohabbat hai
bāda-o-jām se mohabbat thī
bāda-o-jām se mohabbat hai
har ghaḌī dil meñ yaad hai un kī
bas usī naam se mohabbat hai
un meñ shān-e-ḳhudā hai jalva-fagan
ham ko asnām se mohabbat hai
dushman-e-jāñ hai ye mohabbat bhī
said ko daam se mohabbat hai
qadr-e-īsār kyā vo samjheñge
jin ko anjām se mohabbat hai
us kī tashrīh kyā ho ai 'sāhir'
dard-e-be-nām se mohabbat hai
Top Urdushayar.com