Sahir Hoshiyarpuri

zindagi humse KHafa ho jaise

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
zindagī ham se ḳhafā ho jaise
ab davā ho na duā ho jaise
terī furqat meñ huā yuuñ mahsūs
zindagī ek sazā ho jaise
is tarah kartā huuñ puujā terī
tū mohabbat kā ḳhudā ho jaise
aisā armān-e-mulāqāt bhī kiyā
dil meñ tūfān bapā ho jaise
ab to ehsās-e-tamannā bhī nahīñ
qāfila dil kā luTā ho jaise
mere hoñToñ pe tirā zikr-e-jamīl
har nafas mauj-e-sabā ho jaise
terī āñkhoñ se barastī mastī
ek mai-ḳhāna khulā ho jaise
ġham se miltī hai masarrat dil ko
ġham bhī terī hī adā ho jaise
jhanjhanā uTThā hai dil kā har taar
aap kā naam sunā ho jaise
vo pashemāñ haiñ tabāhī pe mirī
ye bhī un kī hī ḳhatā ho jaise
talḳhi-e-jām meñ pinhāñ 'sāhir'
dard dil kī bhī davā ho jaise
Top Urdushayar.com