Sahir Hoshiyarpuri

tere mahal mein kaise basar ho isko to girai bahut hai

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
tere mahal meñ kaise basar ho is kī to gīrā.ī bahut hai
maiñ ghar kī añgnā.ī meñ ḳhush huuñ mere liye añgnā.ī bahut hai
apnī apnī zaat meñ gum haiñ ahl-e-dil bhī ahl-e-nazar bhī
mahfil meñ dil kyuuñ kar bahle mahfil meñ tanhā.ī bahut hai
ġharq-e-dariyā honā yaaro 'ġhālib' ne kyuuñ chāhā āḳhir
aisī marg-e-lā-vāris meñ socho to rusvā.ī bahut hai
dushman se ghabrānā abas hai ġhair se Darnā bhī lā-hāsil
kul kā ghātak ghar kā bhedī ek vibhīshan bhaa.ī bahut hai
barsoñ meñ ik jogī lauTā jañgal meñ phir jot jagā.ī
kahne lagā ai bhole shañkar shahroñ meñ mahñgā.ī bahut hai
apnī dhartī hī ke dukh-sukh ham in sheroñ meñ kahte haiñ
ham ko himāla se kyā matlab us kī to ūñchā.ī bahut hai
pursish-e-ġham ko ḳhud nahīñ aa.e un kā magar paiġhām to aayā
hijr kī rut meñ jān-e-hazīñ ko duur kī ye shahnā.ī bahut hai
dil kī kitābeñ paḌh nahīñ saktā lekin chehre paḌh letā huuñ
Dhaltī umr kī dhuup meñ 'sāhir' itnī bhī bīnā.ī bahut hai
Top Urdushayar.com