Sahir Hoshiyarpuri

duniya mein har qadam pe hamein tirgi mili

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
duniyā meñ har qadam pe hameñ tīrgī milī
dekhā jo apne dil kī taraf raushnī milī
ulfat milī ḳhulūs milā dostī milī
har dil meñ ham ko apnī hī tasvīr sī milī
nāgāh jaise bichhḌā huā ham-safar mile
ġham mil gayā to dil ko baḌī tāzgī milī
shāyad mirī talāsh kā maqsad hī thā ġhalat
āvāz dī ḳhirad ko to dīvāngī milī
hai apnī zindagī kī ye tafsīr-e-muḳhtasar
ġham mustaqil milā to ḳhushī ārizī milī
jo ho chalā thā dil ko sukūñ un ke hijr meñ
vo mil ga.e to phir use vāraftagī milī
ishrat-kada hai dahr magar shaiḳh ke liye
ham ko to ik ghaḌī bhī na ārām kī milī
vo aur hoñge pī ke jo sarshār ho ga.e
har jaam se hameñ to na.ī tishnagī milī
jāgīr apnī shā.erī pahle se thī magar
ik umr jab riyāz kiyā sāhirī milī
Top Urdushayar.com