Sahir Hoshiyarpuri

Talne se waqt kya Talta raha

Sahir Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1913-1972
Tālne se vaqt kyā Taltā rahā
āstīñ meñ saañp ik paltā rahā
maut bhī letī rahī apnā ḳhirāj
kārobār-e-zīst bhī chaltā rahā
koī to sāñcha kabhī aa.egā raas
maiñ har ik sāñche meñ yuuñ Dhaltā rahā
shahar ke saare mahal mahfūz the
terā merā āshiyāñ jaltā rahā
zindagī meñ aur sab kuchh thā hasīñ
apnā honā hī mujhe khaltā rahā
bujh ga.e tahzīb-e-nau ke sab charāġh
ek miTTī kā diyā jaltā rahā
ārzūeñ ḳhaak meñ miltī rahīñ
naḳhl-e-ulfat phūltā phaltā rahā
ban ke sone kā hiran terā vajūd
mere mahsūsāt ko chhaltā rahā
raat bhar suunī rahī birhan kī sej
aur āñgan meñ diyā jaltā rahā
zikr-e-haq bhī thā bajā 'sāhir' magar
mai-kashī kā daur bhī chaltā rahā
Top Urdushayar.com