daur-e-charḳh-e-kabūd jaarī hai
jism-o-jāñ par jumūd taarī hai
goyā insāñ nahīñ hayūlā huuñ
merī rag rag meñ duud saarī hai
maut ham-sā.e meñ huī hai to kyā
bazm-e-raqs-e-surūr jaarī hai
dostoñ se vo kyā kareñge sulūk
jin par apnā vajūd bhārī hai
hai tasavvur meñ ik ruḳh-e-raushan
aur lab par darūd jaarī hai
umr bhar khul sakī na dil kī girah
ḳhuub shaġhl-e-kushūd-kārī hai
bhar na pā.egā zaḳhm-e-dil 'sāhir'
zarb-e-harf-e-husūd kaarī hai