havā chalī to bahut der tak rukī hī nahīñ
tumhārī yaad ki jaise kabhī thamī hī nahīñ
samā.atoñ meñ mirī gūñjtī rahī har dam
vo ek baat jo us ne kabhī kahī hī nahīñ
na jaane kis liye us kā hī intizār rahā
vo ek shaḳhs ki jis se kabhī milī hī nahīñ
havā ne jab bhī uḌāyā ga.ī falak kī taraf
ajiib ḳhaak thī jo ḳhaak meñ milī hī nahīñ
kabhī lagā ki bahut tez-rau rahe lamhe
kabhī lagā ka.ī sadiyoñ se maiñ chalī hī nahīñ
kalī bhī dil meñ mohabbat kī ik hañsī thī magar
kabhī vo bāġh-e-tamannā meñ to khilī hī nahīñ
maiñ ik safīr huuñ 'raziya' gudāz lahjoñ kī
ḳhafā kisī se kabhī der tak rahī hī nahīñ