vo na aa.egā yahāñ vo nahīñ aane vaalā
mujh ko tanhā.ī kā ehsās dilāne vaalā
kyā ḳhabar thī ki taras jā.egā ta.abīroñ ko
apnī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb sajāne vaalā
apnī tadbīr ke anjām se nā-vāqif hai
haal taqdīr kā auroñ ko batāne vaalā
merī rag rag meñ lahū ban ke ravāñ ho jaise
mere saa.e se bhī dāman ko bachāne vaalā
kāmyābī se bahar-hāl ḳhushī hotī hai
hañs rahā hai mujhe dīvāna banāne vaalā
bazm kī aur hai tanhā.ī kī duniyā kuchh aur
raat bhar rotā rahā din meñ hañsāne vaalā
hama-tan gosh banā detā hai mujh ko 'fārūq'
us kī bātoñ kā vo andāz lubhāne vaalā