mashvara kis ne diyā thā ki masīhā.ī kar
zaḳhm khāne haiñ to logoñ se shanāsā.ī kar
jeb ḳhālī hai to kyā dil se duā.eñ deñge
ham se durveshoñ kī nādān pazīrā.ī kar
phir nazar aa.egī āsān ye duniyā tujh ko
aañkh se dekh magar dil ko tamāshā.ī kar
ghar meñ mumkin hai magar dil meñ na dīvār uThā
faisla soch-samajh kar ye mere bhaa.ī kar
duudh kā duudh bhī aur paanī kā paanī hogā
rū-ba-rū baiTh ke bāteñ kabhī harjā.ī kar
kaun detā hai yahāñ dād-e-suḳhan ab 'fārūq'
kyuuñ jalātā hai lahū qāfiya-paimā.ī kar